Articles tagged with: Kyon
Me & MySelf »
Bhara Jahan, Tanhai Kaa Dukh Kiya Janay
Milan Wisal, Judayee Kaa Dukh Kiya Janay
Yeah Log Baywajh Hum Say Ulagtay Kyon Hain
Ameeray Shehr, Narasa’ee Ka Dukh Kiya Janay
Hamaree Zat To Ik Karb Ban Gae Hum Pay
Chasmay Khoosposh, Ruswae Ka Dukh Kiya Janay
Humara Ghum Hansee Hay To Hansee Ghum Hay
Bay Khabar, Parasaee Ka Dukh Kiya Jaanay
Woh Jo Hansta Hay To Yeh Haq Hay Uss Ka
Bay Wafa, Bay Wafe Kaa Dukh Kiya Janay
Me & MySelf »
Woh Kyon Mujhe Phir Yaad Aa Rahi Hai?
Qalb E Saleem Ko Beqarar Banaa Rahi Hai?
Kyon Uski Yaad Ko Bhulaa Nahin Sakta Main?
Kyon Woh Aaj Bahut Mujhay Tarapaa Rahi Hai?
Aik Bulbul E Bay-Nawaa Hoon Main
Kyon Mujhe Misle-Naghma Gunganaa Rahi Hai?
Fahad Nadanad Matlab-E-Een Dard Cheest
Shaayad Woh Mawt Hai Aur Bulaa Rahi Hai!
